

Anjuman Minhaje
Rasool (S)
“Damini ,,,,Tere Ba’ad Andhera
Nahi Ujala He.”
Damini Sirf Aik
Ladki Ka Name Bhar Nahi Raha Balke Uske Sath Jo Kuch Runuma Huwa Woh Humari
Bhatakti Aur confuses Soch o Fikr Ki Bhi Dastan He Uski Alamnak Maut Ke Piche
Kai Aik Log Kai Aik Sochen Bhi Zimme Daar Hen,
Hum Mazhabi Ya
Dharmik Honey Ka Dawa Karte Hen Rohani Ijtemat Ya Adhdhiyatmic Shiveer, Maata
Ki Chauki Jagran Sabhi Kuch Karte Hen Magar Hum Aaj Tak Aurat Ki Hesiyat Uski
Izzat Ko Nahi Samajh Paye
Hum Apney Mazhabo Ke Mutabiq Aurat Ko Aaysha, Fatima (RA) Maryam (AS) Durga, Janki Aur Radha Ke Taur Par Qabile Ahtram Ya Pojniye Tau Mante Hen Magar Mazhabi Kitabo Girjo Aur Mandiro K Bahar Humara Mohazzab Ya Sabbhey Samaj Men Uski Kiya Hesyat He Ye Raat 10:00 Baje Aksar TV Channels Par Dikhayye Jane Wale Advertisements Se Pata Chalta He Jinme Who Durga Ya Meera Nahi Bale Aik Fahesha Aik ‘Kaam Vastu’ Ke Taur Par Pesh Ki Jati He Mardo Ke Underwear Aur Banyan Se Lekar Unke Deodorant Usko Adh Nanga Hee Pesh Kiya Jata He Jabke Humare Deehato Villages Ke Hallat Tau Bohat Ziyada Kharab He ‘Pardhan Dabang Darogha’ Jese Kitne Kirdar He Jahan Sadyo Se Aaj Tak Daminiya Ya Tau Insaf Ka Intizar Hee Karrahi Hen Ya Khamosh Kardi Gayee
Apni Beti Apni
Behan Apni Maa Magar Apne Ghar Ke Bahar Hum Rishton Se Azad Hojaten He, Train
Ke Bathroom Se Lekar Public Toilet Tak Hum Waqt Nikal Kar Wahan Jo Art Ya Klaa
Pesh Karte Hen Wobhi Aurat Ke Jism Par Hee Aadharit Hota He
Isliye Sirf Candle March Sarkar Ya Systam Ke Khilaf Nare Bazi Se Ziyada Hume Apni Aur Apne Samaj Jisme Mera Ghar Mere Dost Mera News Paper Mera TV Ya News Channel Sabhi Ko Apna Apna Muhasba Ya Aatm Manthan Karna Hoga Sath Hee Hume Azadi Ka Sahi Matlab Ya Paribhasha Ko Bhi Samajhna Hoga Ke Kiya Humari Behan Beti Ki Azai Sirf Disco, Pub Aur Late Night Party Tak Hee Seemit Ya Uska Muqam Kuch Aur Hee He
Isliye Sirf Candle March Sarkar Ya Systam Ke Khilaf Nare Bazi Se Ziyada Hume Apni Aur Apne Samaj Jisme Mera Ghar Mere Dost Mera News Paper Mera TV Ya News Channel Sabhi Ko Apna Apna Muhasba Ya Aatm Manthan Karna Hoga Sath Hee Hume Azadi Ka Sahi Matlab Ya Paribhasha Ko Bhi Samajhna Hoga Ke Kiya Humari Behan Beti Ki Azai Sirf Disco, Pub Aur Late Night Party Tak Hee Seemit Ya Uska Muqam Kuch Aur Hee He
Peghambar Islam Hazrat Muhammad (SAW) Ne Farmaya: ‘Agar Maa HeTau Uske Qadmo Ke Niche Tumhari Jannat Agar Biwee He Tau Tumhara Adha Iman Agar Behan Aur Beti He Tau Tumhe Jannat Tak Lejaygee Isliye Apni Aurton Ke Barey Men Allah Se Daro Unki Azmat Ko Samjho Unke Sath Bura Bartao Na Karo Unpar Ilzam Na Lagao’
Akhir Me Yehee Kahaon Ga Ke Damini Ko Humara Sahi Khiraj Ya Shardhanjli Ye Hee Hogi Ke Ainda Koi Damini Aise Halat Se Naguzre Sath Hee Sarkar Ko Bhi Qanoon Ke Jayze Ya Samikhsha Tak Hee Is Case Ko Mehdood Nahi Karna Chayye Balke Fauri Sakht Qanoon Bana Ney Ke Liye Parliament Ka Khas Adhiveshan Bulana Chaye.
Hume Khabar He K Hum Hen Chiraghe Akhire Shab
Magar Humare Ba’ad Andhera Nahi Ujala He’ (Allama Iqbal)
Maulana Syed Athar Hussain Dehlavi
Chairmen
the Rais
Anjuman Minhaje Rasool (S)
“Noor Manzil” Tiraha
Behram Khan, Darya Ganj, New Delhi-2
maulanadehlavi@gmail.com
No comments:
Post a Comment